Our story
It starts with a student who got 8 out of 100.
Class 8, maths
Class 10 boards
Wo student main tha. Class 8 ke ek exam mein mere maths mein 100 mein se 8 marks aaye the. Class 10 ke boards mein 98.
Beech mein main zyada intelligent nahi hua. Bas ek teacher mila jisne formula yaad karwane ki jagah ye samjhaya ki wo formula aaya kahan se.
Fluence usi ek idea par bana hai: no child is weak. Jab "why" samajh aa jaata hai, to dar chala jaata hai. Marks uske baad apne aap aate hain.
The vision: a school where every child questions everything.
Aaj Fluence ek classroom hai, Bilaspur mein. Small batches, face to face. Yahan zyadatar wo bachche aate hain jinhe kisi ne keh diya tha ki maths unke bas ka nahi hai.
Kal ye ek school banega. Aisa school jahan sirf toppers nahi, har bachcha sawal poochhna seekhe. Is site ke videos aur Board Kit usi classroom se nikle hain, taaki jo bachcha Bilaspur nahi aa sakta, use bhi wahi mile.

